Wo school ki ghanti bhejte hi jab neend khulti thi......
aur prayer khatam hone pe hi apni entry hoti thi.
Late hone par jab class k liye daudte hue principal pakad lete the,
aur har roz naye bahane banane me hum mahir hote the.
Yaad hai, lunch break mein kisi ek k tiffin mein khana kuch zyada hi mazedar hota tha.
Break ke baad wala lectures to neend mein hi nikal jate the,
hosh to tab aata tha jab teacher chauk maar ke jagate the,
aur hum ustad headache ka bahana bana ke fir so jate the.
Jab teacher line se viva lena start karte the,
aur hum apne number pe aane wale question ka answer ratna start karte the.
Yaad hai jab last lecture mein jab teacher nahi hote the,
aur hum chhutti se 15 min. pehle saari masti band karke bhagne ke liye ready hote the.
School se ghar aane tak match ki puri planning ho jati thi,
aur ghar aake dress change karna sabse bada time waste hota tha.
Jab zindagi mein home-work se badi koi tension nahi hoti thi.
Dil mein bas school se chhutti marne ki khwahish hoti thi.
Yaad hai jab ek lambi chhutti ke baad school mein bilkul mann nahi lagta tha.
Aaj usi school life mein fir se jane ka mann karta hai.
Yaad hai hume wo school, wo home-work, wo khaali lecture me ki mastiyan....
Wo sab kuch yaad hai hume...........
-AryaMridul
No comments:
Post a Comment